aakhiri sardi | "आख़िरी सर्दी"

  - Navneet Vatsal Sahil

aakhiri sardi

sab tabaah-o-barbaad ho jaayega
ye sitam hai ki
ik din
koi tum par
marte-marte mar jaayega

tum se tha vo jo
surkhaab chehra
ki jis pe tum marti theen
benoor ho jaayega

mere chashmon ko
beenaai jo tumne
ki thi ata
usko dekhna
nami lag jaayegi
zang kha jaayega

ek dil jisko
barson dhadkaaya tum ne
bechain-o-beqaraar rakha
vo bhi jaan qaraar pa jaayega

saansen
jo mehkati raheen hain abhi talak
so unko bhi
seene ka ek zakhm kha jaayega

jis jism ko
garmi-e-aaghosh mein
kitni sardiyaan tum ne rakha tha
is sardi
shaayad
sard ho jaayega
asar kho jaayega

aur aakhirsh ek ladka
jis se tum ko nisbat thi
jis ko tum se nisbat hai
hizr tumhaara kha jaayega
mar jaayega

ek ladka
bichhad kar tumse
is sardi
suno mujhko aisa lagta hai
mar jaayega

"आख़िरी सर्दी"

सब तबाह-ओ-बर्बाद हो जाएगा
ये सितम है कि
इक दिन
कोई तुम पर
मरते-मरते मर जाएगा

तुम से था वो जो
सुरख़ाब चेहरा
कि जिस पे तुम मरती थीं
बेनूर हो जाएगा

मेंरे चश्मों को
बीनाई जो तुमने
की थी अता
उसको देखना
नमी लग जाएगी
ज़ंग खा जाएगा

एक दिल जिसको
बरसों धड़काया तुम ने
बेचैन-ओ-बेक़रार रखा
वो भी जान क़रार पा जाएगा

साँसें
जो महकती रहीं हैं अभी तलक
सो उनको भी
सीने का एक ज़ख़्म खा जाएगा

जिस जिस्म को
गर्मी-ए-आग़ोश में
कितनी सर्दियां तुम ने रखा था
इस सर्दी
शायद
सर्द हो जाएगा
असर खो जाएगा

और आख़िरश एक लड़का
जिस से तुम को निस्बत थी
जिस को तुम से निस्बत है
हिज़्र तुम्हारा खा जाएगा
मर जाएगा

एक लड़का
बिछड़ कर तुमसे
इस सर्दी
सुनो मुझको ऐसा लगता है
मर जाएगा

  - Navneet Vatsal Sahil

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Navneet Vatsal Sahil

As you were reading Shayari by Navneet Vatsal Sahil

Similar Writers

our suggestion based on Navneet Vatsal Sahil

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari