dheema zehar
umeed-o-khwaahishein
zindagi jeene ko ahem to hain magar
ye dheema zehar hoti hain
gar ho jaayen zyaada to
khatm kar deti hain
dheere-dheere khushiyon ko
paalne waale insaan ko aakhirsh
maine bhi meri jaanaan
tum se rakhi theen ummeedein
tum se paali theen khwaahishein
awwal darze ki ummeedein
awwal darze ki khwaahishein
aur ab ye haal hai jaanaan
khushiyon ki raakh par zindagi
roti-roti dheemi maut mar rahi hai
jaanaan tum ne mujh ko sikhlaaya hai
umeed-o-khwaahishein zehar hoti hain
"धीमा ज़हर"
उम्मीद-ओ-ख़्वाहिशें
ज़िन्दगी जीने को अहम तो हैं मगर
ये धीमा ज़हर होती हैं
गर हो जाएँ ज़्यादा तो
ख़त्म कर देती हैं
धीरे-धीरे खुशियों को
पालने वाले इंसान को आख़िरश
मैंने भी मेरी जानां
तुम से रखी थीं उम्मीदें
तुम से पाली थीं ख़्वाहिशें
अव्वल दर्ज़े की उम्मीदें
अव्वल दर्ज़े की ख़्वाहिशें
और अब ये हाल है जानां
ख़ुशियों की राख पर ज़िन्दगी
रोती-रोती धीमी मौत मर रही है
जानां तुम ने मुझ को सिखलाया है
उम्मीद-ओ-ख़्वाहिशें ज़हर होती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Navneet Vatsal Sahil
our suggestion based on Navneet Vatsal Sahil
As you were reading Death Shayari Shayari