bhookh ko bistar bana kar so gaye hum | भूख को बिस्तर बना कर सो गए हम - Gaurav Singh

bhookh ko bistar bana kar so gaye hum
neend ko chadar bana kar so gaye hum

ghar ki jiske khwaab aate the hamesha
khwaab mein vo ghar bana kar so gaye hum

hum jise duniya bana sakte the usko
raah ka patthar bana kar so gaye hum

jism ko nigraani mein apne lagaakar
saaye ko paikar bana kar so gaye hum

chaand taaron ke tale sab dukh bhulaakar
in ko chaaragar bana kar so gaye hum

bekhbar shakuni ke badle ki tadap se
ek din chausar bana kar so gaye hum

भूख को बिस्तर बना कर सो गए हम
नींद को चादर बना कर सो गए हम

घर कि जिसके ख़्वाब आते थे हमेशा
ख़्वाब में वो घर बना कर सो गए हम

हम जिसे दुनिया बना सकते थे उसको
राह का पत्थर बना कर सो गए हम

जिस्म को निगरानी में अपने लगाकर
साये को पैकर बना कर सो गए हम

चाँद तारों के तले सब दुख भुलाकर
इन को चारागर बना कर सो गए हम

बेख़बर शकुनी के बदले की तड़प से
एक दिन चौसर बना कर सो गए हम

- Gaurav Singh
2 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari