hum maheenon tak kahi shamshaan mein zinda rahe | हम महीनों तक कहीं शमशान में ज़िंदा रहे - Gaurav Singh

hum maheenon tak kahi shamshaan mein zinda rahe
hum teri aamad ke ik imkaan mein zinda rahe

hum kahaani se nikale ja chuke seedi hain
haan wahi seedi jo unwaan mein zinda rahe

hum sukhun waalon ki qismat mein khushi do chaar pal
dard vo jo umr bhar deewaan mein zinda rahe

ishq mein bichhde hue ye log zinda hain magar
jaise koi morni jindaan mein zinda rahe

muflisi loban si mahke hai saari umr bhar
ye faqeeron ke usi loban mein zinda rahe

poore ghar mein dhoop ka saaya hai koi dhoop nai
dhoop vo jo shaam tak daalaan mein zinda rahe

ye zamaana shehar ki gunjaan mein tanhaa mare
meer vo hai jo kahi veeraan mein zinda rahe

हम महीनों तक कहीं शमशान में ज़िंदा रहे
हम तेरी आमद के इक इमकान में ज़िंदा रहे

हम कहानी से निकाले जा चुके क़िरदार हैं
हाँ वही क़िरदार जो उनवान में ज़िंदा रहे

हम सुख़न वालों की क़िस्मत में ख़ुशी दो चार पल
दर्द वो जो उम्र भर दीवान में ज़िंदा रहे

इश्क़ में बिछड़े हुए ये लोग ज़िंदा हैं मगर
जैसे कोई मोरनी जिंदान में ज़िंदा रहे

मुफ़्लिसी लोबान सी महके है सारी उम्र भर
ये फ़क़ीरों के उसी लोबान में ज़िंदा रहे

पूरे घर में धूप का साया है कोई धूप नइ
धूप वो जो शाम तक दालान में ज़िंदा रहे

ये ज़माना शहर की गुंजान में तन्हा मरे
मीर वो है जो कहीं वीरान में ज़िंदा रहे

- Gaurav Singh
2 Likes

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari