muflisi ne bachpane ke rang kuch aise utaare | मुफ़लिसी ने बचपने के रंग कुछ ऐसे उतारे - Gaurav Singh

muflisi ne bachpane ke rang kuch aise utaare
waqt ke maare hue kandon ne phir baste utaare

gar zamaane bhar mein aurat ki rahe asmat salaamat
kyun koi manto kisi kirdaar ke kapde utaare

sab tawaif hain yahan aur ye zamaana ek kotha
maut dekho aa khadi hai dwaar pe kurte utaare

jang ka ailaan karke khud to baithe hain gharo mein
jang mein marne ko raja jee ne kuch mohre utaare

baj raha hai koi gaana faiz ka likkha hua au
chal rahe hain highway par car ke sheeshe utaare

मुफ़लिसी ने बचपने के रंग कुछ ऐसे उतारे
वक़्त के मारे हुए कंधों ने फिर बस्ते उतारे

गर ज़माने भर में औरत की रहे अस्मत सलामत
क्यों कोई मंटो किसी किरदार के कपड़े उतारे

सब तवायफ़ हैं यहाँ और ये ज़माना एक कोठा
मौत देखो आ खड़ी है द्वार पे कुर्ते उतारे

जंग का ऐलान करके ख़ुद तो बैठे हैं घरों में
जंग में मरने को राजा जी ने कुछ मोह्रे उतारे

बज रहा है कोई गाना फ़ैज़ का लिक्खा हुआ औ'
चल रहे हैं हाइवे पर कार के शीशे उतारे

- Gaurav Singh
7 Likes

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari