samajh aayenge ik din hum hamaare ghar ke logon ko | समझ आएँगे इक दिन हम हमारे घर के लोगों को - Gaurav Singh

samajh aayenge ik din hum hamaare ghar ke logon ko
yahi ummeed kaafi hai mere lashkar ke logon ko

kahaani likh raha hoon urmila ke dukh au tyaagon ki
rulaana chahta hoon main sabhi patthar ke logon ko

yahi baarish kisaano ki zaroorat hai magar pyaare
daraati bhi yahi baarish sabhi chappar ke logon ko

kisi apne se milne mein hichkata hoon na jaane kyun
ijaazat hai mere dil mein magar baahar ke logon ko

muhabbat ka rehersal mujhse karne waali ladki tum
adaakaari dikhaati ho zamaane bhar ke logon ko

kai din se pada hoon main kisi kamre ke kone mein
bahaane de raha hoon roz main daftar ke logon ko

udaasi mein sunaata hoon jigar aur john ki ghazlen
kabhi baahar ke logon ko kabhi bheetar ke logon ko

समझ आएँगे इक दिन हम हमारे घर के लोगों को
यही उम्मीद काफी है मेरे लश्कर के लोगों को

कहानी लिख रहा हूँ उर्मिला के दुख औ त्यागों की
रुलाना चाहता हूँ मैं सभी पत्थर के लोगों को

यही बारिश किसानों की जरूरत है मगर प्यारे
डराती भी यही बारिश सभी छप्पर के लोगों को

किसी अपने से मिलने में हिचकता हूँ न जाने क्यों
इजाज़त है मेरे दिल में मगर बाहर के लोगों को

मुहब्बत का रिहर्सल मुझसे करने वाली लड़की तुम
अदाकारी दिखाती हो ज़माने भर के लोगों को

कई दिन से पड़ा हूँ मैं किसी कमरे के कोने में
बहाने दे रहा हूँ रोज मैं दफ़्तर के लोगों को

उदासी में सुनाता हूँ जिगर और जॉन की ग़ज़लें
कभी बाहर के लोगों को कभी भीतर के लोगों को

- Gaurav Singh
4 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gaurav Singh

As you were reading Shayari by Gaurav Singh

Similar Writers

our suggestion based on Gaurav Singh

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari