yaar qurbat nahin ab mere kaam ki | यार क़ुर्बत नहीं अब मिरे काम की

  - Jaypratap chauhan

yaar qurbat nahin ab mere kaam ki
ye suhoolat nahin ab mere kaam ki

aarzoo ab nahin hai kisi ki mujhe
to mohabbat nahin ab mere kaam ki

us khuda se nahin ab mera raabta
to ibadat nahin ab mere kaam ki

ab kamaane ki chaahat nahin hai mujhe
to tijaarat nahin ab mere kaam ki

fas gaya hoon main aise pas-o-pesh mein
ye hidaayat nahin ab mere kaam ki

zindagi chal rahi jhooth ke aasre
to haqeeqat nahin ab mere kaam ki

यार क़ुर्बत नहीं अब मिरे काम की
ये सुहूलत नहीं अब मिरे काम की

आरज़ू अब नहीं है किसी की मुझे
तो मोहब्बत नहीं अब मिरे काम की

उस खु़दा से नहीं अब मिरा राब्ता
तो इबादत नहीं अब मिरे काम की

अब कमाने की चाहत नहीं है मुझे
तो तिजारत नहीं अब मिरे काम की

फस गया हूँ मैं ऐसे पस-ओ-पेश में
ये हिदायत नहीं अब मिरे काम की

ज़िंदगी चल रही झूठ के आसरे
तो हक़ीक़त नहीं अब मिरे काम की

  - Jaypratap chauhan

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaypratap chauhan

As you were reading Shayari by Jaypratap chauhan

Similar Writers

our suggestion based on Jaypratap chauhan

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari