main haq ki baat kehta ja raha hoon
tabhi to tanhaa chhoda ja raha hoon
padosi ki mohabbat dekhiyega
muqdamon se sataaya ja raha hoon
mohabbat hi mohabbat ki hai phir bhi
main ghar se bhi nikala ja raha hoon
na poocho meri haalat kaisi hai ab
bina paani ke dooba ja raha hoon
udaasi ko chhupaakar apne dil mein
khushi ke nagme gaata ja raha hoon
मैं हक़ की बात कहता जा रहा हूँ
तभी तो तन्हा छोड़ा जा रहा हूँ
पड़ोसी की मोहब्बत देखिएगा
मुक़दमों से सताया जा रहा हूँ
मोहब्बत ही मोहब्बत की है फिर भी
मैं घर से भी निकाला जा रहा हूँ
न पूछो मेरी हालत कैसी है अब
बिना पानी के डूबा जा रहा हूँ
उदासी को छुपाकर अपने दिल में
ख़ुशी के नग़्मे गाता जा रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Udas Shayari Shayari