bandagi raam-raam bhool gaye
log karna salaam bhool gaye
haan usi ne kiya mujhe barbaad
kya tha vo uska naam bhool gaye
subh jis kaam se the nikle ham
shaam tak ham vo kaam bhool gaye
pichhle kuchh din se chain mein hain jee
achha hai intiqaam bhool gaye
gham-zda shayari ke chakkar mein
lafz ham dhoom-dhaam bhool gaye
chaar din mujh pe sakht kya beete
sab ke sab mera naam bhool gaye
shah ne dale do nivaale jab
zulm pichla ghulaam bhool gaye
ek hi naam bas rakha tha yaad
us ko bhi ek shaam bhool gaye
बंदगी राम-राम भूल गए
लोग करना सलाम भूल गए
हाँ उसी ने किया मुझे बर्बाद
क्या था वो उसका नाम, भूल गए
सुब्ह जिस काम से थे निकले हम
शाम तक हम वो काम भूल गए
पिछले कुछ दिन से चैन में हैं जी
अच्छा है इंतिक़ाम भूल गए
ग़म-ज़दा शायरी के चक्कर में
लफ़्ज़ हम धूम-धाम भूल गए
चार दिन मुझ पे सख़्त क्या बीते
सब के सब मेरा नाम भूल गए
शाह ने डाले दो निवाले जब
ज़ुल्म पिछला ग़ुलाम भूल गए
एक ही नाम बस रखा था याद
उस को भी एक शाम भूल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari