phir kisi taur sahi haal mein dale mujh ko
qaid se koii to maazi kii chhuda le mujh ko
sab hain masroof yahan apni kisi jannat mein
kis ko parwa ki jahannam se nikale mujh ko
dost vo gham hai jo itni se nahin jaayega
aadhe khaali nahin bhar ke de piyaale mujh ko
khaak ho kar ke pada hoon main tiri raahon mein
lamhe bhar ko sahi maathe pe saja le mujh ko
zindagi bhar tiri yaadon ke andheron mein raha
zindagi bhar na mile haaye ujaale mujh ko
zindagi hai ek bhanwar fans gaya hoon main is mein
maut tu haath badha kar ke bacha le mujh ko
ab to bas ek hi khwaahish rahi hai dil ko mere
ek din yun ho koii haadsa kha le mujh ko
फिर किसी तौर सही हाल में डाले मुझ को
क़ैद से कोई तो माज़ी की छुड़ा ले मुझ को
सब हैं मसरूफ़ यहाँ अपनी किसी जन्नत में
किस को पर्वा कि जहन्नम से निकाले मुझ को
दोस्त वो ग़म है जो इतनी से नहीं जाएगा
आधे ख़ाली नहीं भर के दे पियाले मुझ को
ख़ाक हो कर के पड़ा हूँ मैं तिरी राहों में
लम्हे भर को सही माथे पे सजा ले मुझ को
ज़िन्दगी भर तिरी यादों के अँधेरों में रहा
ज़िन्दगी भर न मिले हाए उजाले मुझ को
ज़ीस्त है एक भँवर फँस गया हूँ मैं इस में
मौत तू हाथ बढ़ा कर के बचा ले मुझ को
अब तो बस एक ही ख़्वाहिश रही है दिल को मिरे
एक दिन यूँ हो कोई हादसा खा ले मुझ को
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading undefined Shayari