sabhi chehron ko ye chehre samjhte hain | सभी चेहरों को ये चेहरे समझते हैं

  - Mohit Subran

sabhi chehron ko ye chehre samjhte hain
mukhaoton ko kahaan bacche samjhte hain

koi bhi baat ho mauzooa ho koi
wahi hain jaante boodhe samjhte hain

na ho maaloom tum ko ladkiyon shaayad
tumhaari aadaten ladke samjhte hain

samandar mein rahe hain log ye muddat
tabhi to aab ke khatre samjhte hain

nahin rahti bulandi der tak hisse
faqat is baat ko jharne samjhte hain

bana ke rakhna maa mein aur biwi mein
ki ye ehsaas bas bete samjhte hain

khizaan hai naam kis aafat-museebat ka
miyaan is khauf ko patte samjhte hain

सभी चेहरों को ये चेहरे समझते हैं
मुखौटों को कहाँ बच्चे समझते हैं

कोई भी बात हो मौज़ूअ हो कोई
वही हैं जानते बूढ़े समझते हैं

न हो मालूम तुम को लड़कियों शायद
तुम्हारी आदतें लड़के समझते हैं

समंदर में रहे हैं लोग ये मुद्दत
तभी तो आब के ख़तरे समझते हैं

नहीं रहती बुलंदी देर तक हिस्से
फ़क़त इस बात को झरने समझते हैं

बना के रखना माँ में और बीवी में
कि ये एहसास बस बेटे समझते हैं

ख़िज़ाँ है नाम किस आफ़त-मुसीबत का
मियाँ इस ख़ौफ़ को पत्ते समझते हैं

  - Mohit Subran

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mohit Subran

As you were reading Shayari by Mohit Subran

Similar Writers

our suggestion based on Mohit Subran

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari