sajte bazaar aur khaali haath
paas tyohaar aur khaali haath
ik to hain door manzilen us pe
raah dushwaar aur khaali haath
aandhiyon ne jhapat liye gul sab
rah gaye khaar aur khaali haath
ik dagha-baaz kar gaya mere
dil ko bezaar aur khaali haath
rah gaye hain raqm ke naam pe bas
chand ashaar aur khaali haath
waqt achha nahin tira mohit
na koii yaar aur khaali haath
सजते बाज़ार और ख़ाली हाथ
पास त्योहार और ख़ाली हाथ
इक तो हैं दूर मंज़िलें उस पे
राह दुश्वार और ख़ाली हाथ
आँधियों ने झपट लिए गुल सब
रह गए ख़ार और ख़ाली हाथ
इक दग़ा-बाज़ कर गया मेरे
दिल को बेज़ार और ख़ाली हाथ
रह गए हैं रक़म के नाम पे बस
चंद अशआर और ख़ाली हाथ
वक़्त अच्छा नहीं तिरा 'मोहित'
न कोई यार और ख़ाली हाथ
As you were reading Shayari by Mohit Subran
our suggestion based on Mohit Subran
As you were reading undefined Shayari