hona to nahi chahiye par yaar hua to
rahbar hi meri raah ki deewaar hua to
tu apni ana mein jise kam aank raha hai
ik din tere lashkar ka vo sardaar hua to
tinka bhi jise dete ho ahsaan samajh kar
har shay mein barabar ka vo haqdaar hua to
jiski khushi mein dost kabhi khush nahi the tum
mushkil mein wahi shakhs madad-gaar hua to
kahte hain udaasi ka sabab ishq mein jisko
darasl wahi hijr mazedaar hua to
होना तो नही चाहिए पर यार हुआ तो
रहबर ही मेरी राह की दीवार हुआ तो
तू अपनी अना में जिसे कम आँक रहा है
इक दिन तेरे लश्कर का वो सरदार हुआ तो
तिनका भी जिसे देते हो अहसान समझ कर
हर शय में बराबर का वो हक़दार हुआ तो
जिसकी ख़ुशी में दोस्त कभी ख़ुश नही थे तुम
मुश्किल में वही शख़्स मदद-गार हुआ तो
कहते हैं उदासी का सबब इश्क़ में जिसको
दरअस्ल वही हिज्र मज़ेदार हुआ तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om awasthi
our suggestion based on Om awasthi
As you were reading Judai Shayari Shayari