taveel ishq ki chaahat thi mukhtasar na mila
hamaare jaison ko ye tohfa umr bhar na mila
tamaam umr uljhta raha main duniya se
samajh sake jo mujhe aisa ham-nazar na mila
ye sochta hoon ke kya hi bigaad loonga tera
tu is dafa bhi mujhe waqt par agar na mila
udaasiyaan hain faqat arz-e-dil mein phaili hui
vo shaakh hoon main jise koi bhi samar na mila
kisi ke dil mein mukammal qayaam karne ko
koi bhi nuskha muhabbat se kaargar na mila
तवील इश्क़ की चाहत थी मुख़्तसर न मिला
हमारे जैसों को ये तोहफ़ा उम्र भर न मिला
तमाम उम्र उलझता रहा मैं दुनिया से
समझ सके जो मुझे ,ऐसा हम-नज़र न मिला
ये सोचता हूँ के, क्या ही बिगाड़ लूँगा तेरा
तू इस दफ़ा भी मुझे वक़्त पर अगर न मिला
उदासियाँ हैं फ़क़त अर्ज़-ए-दिल में फैली हुई
वो शाख़ हूँ मैं जिसे ,कोई भी समर न मिला
किसी के दिल में मुकम्मल क़याम करने को
कोई भी नुस्ख़ा मुहब्बत से कारगर न मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om awasthi
our suggestion based on Om awasthi
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari