kuchh na kuchh to nisbat hai | कुछ न कुछ तो निस्बत है

  - Parvez Zaami

kuchh na kuchh to nisbat hai
bair hai ya ulfat hai

hashr ka ye din aur tum
kya haseen qayamat hai

ranj kyun kare is par
apni apni qismat hai

koi to kahe mujh se
aap se mohabbat hai

may-kada bhi mandir hai
saaqi us ki moorat hai

eed meri ho jaaye
chaand ki zaroorat hai

zeest tu jise kehta
chaar-din ki mohlat hai

zindagi fasana hai
maut hi haqeeqat hai

aate rahna turbat par
aakhiri vasiyat hai

ye ghazal nahin zaami
zindagi ki daulat hai

aa gaya khuda ka khat
zaami ki zaroorat hai

कुछ न कुछ तो निस्बत है
बैर है या उल्फ़त है

हश्र का ये दिन और तुम
क्या हसीं क़यामत है

रंज क्यूँ करे इस पर
अपनी अपनी क़िस्मत है

कोई तो कहे मुझ से
आप से मोहब्बत है

मय-कदा भी मंदिर है
साक़ी उस की मूरत है

ईद मेरी हो जाए
चाँद की ज़रूरत है

ज़ीस्त तू जिसे कहता
चार-दिन की मोहलत है

ज़िंदगी फ़साना है
मौत ही हक़ीक़त है

आते रहना तुर्बत पर
आख़िरी वसीयत है

ये ग़ज़ल नहीं 'ज़ामी'
ज़िंदगी की दौलत है

आ गया ख़ुदा का ख़त
'ज़ामी' की ज़रूरत है

  - Parvez Zaami

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Zaami

As you were reading Shayari by Parvez Zaami

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Zaami

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari