mahbooba ki taarif | "महबूबा की तारीफ़" - Priyanshu Gautam

mahbooba ki taarif

jaha main hoon wahan se door ho tum
sitaaron ke jahaan ki noor ho tum
na maane koi lekin sach yahin hai
kisi jannat se utri hoor ho tum

sabhi se pyaar se tum baatein karti
zara si bhi nahin maghroor ho tum
koi chakh kar jo dekhe tab to jaane
bahut meethi si ik angoor ho tum

agar tum meri nazaron se jo dekho
adaakaara si hi mashhoor ho tum
bhari mehfil mein gautam ye hai kehta
ki himmat se bahut bharpoor ho tum

jahaan raushan karega ek din jo
meri ai dost vo pur noor ho tum
jaha main hoon wahan se door ho tum
sitaaron ke jahaan ki noor ho tum

"महबूबा की तारीफ़"

जहा मैं हूँ वहाँ से दूर हो तुम
सितारों के जहाँ की नूर हो तुम
न माने कोई लेकिन सच यहीं है
किसी जन्नत से उतरी हूर हो तुम

सभी से प्यार से तुम बातें करती
ज़रा सी भी नहीं मग़रूर हो तुम
कोई चख कर जो देखे तब तो जाने
बहुत मीठी सी इक अंगूर हो तुम

अगर तुम मेरी नज़रों से जो देखो
अदाकारा सी ही मशहूर हो तुम
भरी महफ़िल में "गौतम" ये है कहता
कि हिम्मत से बहुत भरपूर हो तुम

जहाँ रौशन करेगा एक दिन जो
मेरी ऐ दोस्त वो पुर नूर हो तुम
जहा मैं हूँ वहाँ से दूर हो तुम
सितारों के जहाँ की नूर हो तुम

- Priyanshu Gautam
1 Like

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priyanshu Gautam

As you were reading Shayari by Priyanshu Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Priyanshu Gautam

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari