baarishon mein ye sakoon ho jaata hai
aansu bhi boondon mein hi kho jaata hai
laapata hoon main to ghar se kabka phir
kaun bistar pe mere so jaata hai
qabl ladta hai jhagdta bhi hai aur
phir liptakar mujhse vo ro jaata hai
naam jab bhi tera kaaghaz pe likha
aankh ka paani use dho jaata hai
hai mitaati aankhen din bhar vo hi ik
khwaab jo vo khwaab mein bo jaata hai
shor karti hai udaasi kamre mein
jab sehar khaamosh tu ho jaata hai
बारिशों में ये सकूँ हो जाता है
आँसू भी बूँदों में ही खो जाता है
लापता हूँ मैं तो घर से कबका फिर
कौन बिस्तर पे मिरे सो जाता है
क़ब्ल लड़ता है झगड़ता भी है और
फिर लिपटकर मुझसे वो रो जाता है
नाम जब भी तेरा काग़ज़ पे लिखा
आँख का पानी उसे धो जाता है
है मिटाती आँखें दिन भर वो ही इक
ख़्वाब जो वो ख़्वाब में बो जाता है
शोर करती है उदासी कमरे में
जब सहर ख़ामोश तू हो जाता है
our suggestion based on Dikesh sai 'Sahar'
As you were reading undefined Shayari