zinda hai kis tarah tu bhala is dayaar mein | ज़िन्दा है किस तरह तू भला इस दयार में - Saif Dehlvi

zinda hai kis tarah tu bhala is dayaar mein
mar jaana chahiye tha tujhe hijr-e-yaar mein

tum us se poochna kabhi raftaar waqt kii
baitha hua ho jo kisi ke intizaar mein

yaaro kii berukhi ka gila kar rahe hain aap
beta raha na baap ke ab ikhtiyaar mein

phir bhi yaqeen karne ki aadat nahin gai
sau baar chot kha chuke ham etibaar mein

baitha to main kabhi nahin par us se kah diya
baitha hoon aaj bhi main tire intizaar mein

lehje ko sakht rakhiye mohabbat ke saath saath
bacche bigad bhi jaate hain ziyaada dulaar mein

ज़िन्दा है किस तरह तू भला इस दयार में
मर जाना चाहिए था तुझे हिज्र-ए-यार में

तुम उस से पूछना कभी रफ़्तार वक़्त की
बैठा हुआ हो जो किसी के इन्तिज़ार में

यारो की बेरुख़ी का गिला कर रहे हैं आप
बेटा रहा न बाप के अब इख़्तियार में

फिर भी यक़ीन करने कि आदत नहीं गई
सौ बार चोट खा चुके हम एतिबार में

बैठा तो मैं कभी नहीं पर उस से कह दिया
बैठा हूँ आज भी मैं तिरे इन्तिज़ार में

लहजे को सख़्त रखिए मोहब्बत के साथ साथ
बच्चे बिगड़ भी जाते हैं ज़्यादा दुलार में

- Saif Dehlvi
0 Likes

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari