ye bas kam-zarf logon ka zamaana hai | ये बस कम-ज़र्फ़ लोगों का ज़माना है - Saurabh Kumar

ye bas kam-zarf logon ka zamaana hai
yahan ulfat faqat chhupna chhupaana hai

kabhi milna kabhi mil kar bichadna bhi
mohabbat hi jataane ka bahaana hai

mere ahwaal-e-dil se usko kya matlab
use to ishq mein khaana kamaana hai

gawaahi zakham khud apni nahin dega
zabaan kholo kaho kitna puraana hai

kabhi vehshat kabhi ulfat yahi hain hum
hamaari zaat to bas ik fasana hai

humein bas daur-e-aakhir mein zamaane ko
faqat khul kar yahan hansna hansaana hai

kabhi khud se be-imaani nahin ki hai
yahi ik sach mera apna khazana hai

gham-e-pinhan abhi hai kam raza rab ki
wagarana mera gham kaafi siyaana hai

khushi pal bhar ghamon ka dhyaan bhatka le
isee ummeed-e-farda par zamaana hai

jidhar dekho mohabbat hi mohabbat hai
faqat ye jhooth bhi kitna suhaana hai

ये बस कम-ज़र्फ़ लोगों का ज़माना है
यहाँ उल्फ़त फ़क़त छुपना छुपाना है

कभी मिलना कभी मिल कर बिछड़ना भी
मोहब्बत ही जताने का बहाना है

मिरे अहवाल-ए-दिल से उसको क्या मतलब
उसे तो इश्क़ में खाना कमाना है

गवाही ज़ख़्म ख़ुद अपनी नहीं देगा
ज़बाँ खोलो कहो कितना पुराना है

कभी वहशत कभी उलफ़त यही हैं हम
हमारी ज़ात तो बस इक फ़साना है

हमें बस दौर-ए-आख़िर में ज़माने को
फ़क़त खुल कर यहाँ हँसना हँसाना है

कभी ख़ुद से बे-ईमानी नहीं की है
यही इक सच मिरा अपना ख़ज़ाना है

ग़म-ए-पिन्हाँ अभी है कम, रज़ा रब की
वगरना मेरा ग़म काफ़ी सियाना है

ख़ुशी पल भर ग़मों का ध्यान भटका ले
इसी उम्मीद-ए-फ़र्दा पर ज़माना है

जिधर देखो मोहब्बत ही मोहब्बत है
फ़क़त ये झूठ भी कितना सुहाना है

- Saurabh Kumar
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saurabh Kumar

As you were reading Shayari by Saurabh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Saurabh Kumar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari