zindagi se ishq karna zindagi bhar ki saza hai | ज़िंदगी से इश्क़ करना ज़िंदगी भर की सज़ा है - Saurabh Kumar

zindagi se ishq karna zindagi bhar ki saza hai
be-wafaai ke zamaane mein wafaai ik khata hai

aadatan bas saans lena gar nahin hai zindagi to
yaar main zinda bacha hoon kis-qadar hairat-faza hai

teergi ne jab hamaara haath thaama bheed mein to
khwaab toote hosh aaya yaar khilwat mein maza hai

taish aana naa-tawaani ka nateeja hai faqat bas
do safaai tum yaqeenan baat ye bilkul baja hai

ibtida-e-ishq beshak khush-badan lagta rahe par
yaar saurabh intihaa-e-ishq marz-e-la-dawa hai

ज़िंदगी से इश्क़ करना ज़िंदगी भर की सज़ा है
बे-वफ़ाई के ज़माने में वफ़ाई इक ख़ता है

आदतन बस साँस लेना गर नहीं है ज़िंदगी तो
यार मैं ज़िंदा बचा हूँ किस-क़दर हैरत-फ़ज़ा है

तीरगी ने जब हमारा हाथ थामा भीड़ में तो
ख़्वाब टूटे होश आया यार ख़ल्वत में मज़ा है

तैश आना ना-तवानी का नतीजा है फ़क़त बस
दो सफ़ाई तुम यक़ीनन बात ये बिल्कुल बजा है

इब्तिदा-ए-इश्क़ बेशक ख़ुश-बदन लगता रहे पर
यार सौरभ इंतिहा-ए-इश्क़ मर्ज़-ए-ला-दवा है

- Saurabh Kumar
0 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saurabh Kumar

As you were reading Shayari by Saurabh Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Saurabh Kumar

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari