dekho khaamosh hain saare ye nagar kaun bachaaye
dikhta to hai sabhi ko zulm magar kaun bachaaye
aaj soye hain sabhi ke sabhi insaan yahan par
ek maasoom ka jalta hua ghar kaun bachaaye
ab kisi aur se darne kii zaroorat nahin padti
ab hai insaan ko insaan ka dar kaun bachaaye
kya gila ham karein saare jahaan se koii batao
zehan hai apna hi kotaah-nazar kaun bachaaye
main kisi aur zamaane mein chala aaya hoon shaayad
har taraf hai ye siyaasat ka bhanwar kaun bachaaye
देखो ख़ामोश हैं सारे ये नगर कौन बचाए
दिखता तो है सभी को ज़ुल्म मगर कौन बचाए
आज सोए हैं सभी के सभी इंसान यहाँ पर
एक मासूम का जलता हुआ घर कौन बचाए
अब किसी और से डरने की ज़रूरत नहीं पड़ती
अब है इंसान को इंसान का डर कौन बचाए
क्या गिला हम करें सारे जहाँ से कोई बताओ
ज़ेहन है अपना ही कोताह-नज़र कौन बचाए
मैं किसी और ज़माने में चला आया हूँ शायद
हर तरफ़ है ये सियासत का भँवर कौन बचाए
As you were reading Shayari by Mohammed Shadab Qureshi
our suggestion based on Mohammed Shadab Qureshi
As you were reading undefined Shayari