ajab ik hashr barpa hai mujhmein
roz ik shakhs marta hai mujhmein
apni parwaah kyun karoon aakhir
vo tha hi kab jo mera hai mujhmein
ab kahin kuchh dhuaan nahin uthta
kya khabar kaun jalta hai mujhmein
mera bhi jee bahalta hai usi se
ab bhala kya anokha hai mujhmein
mujhko ik lamha bhi qaraar nahin
jaane ab kaun toota hai mujhmein
dhoondhta hoon tera vujood magar
apna hi aap bikhra hai mujhmein
aag ka ek dariya hai vo aur
aag ka dariya bahta hai mujhmein
meri saanson zara pata to karo
mujhi se kaun ladta hai mujhmein
bujh nahin saktaa ek jaam se main
pyaas ka jalta sehra hai mujhmein
main kisi duniya mein nahin hoon magar
sach ye hai saari duniya hai mujhmein
is bhari bazm mein bhi chain nahin
koii to hai jo tanhaa hai mujhmein
अजब इक हश्र बरपा है मुझमें
रोज़ इक शख़्स मरता है मुझमें
अपनी परवाह क्यों करूँ आख़िर
वो था ही कब जो मेरा है मुझमें
अब कहीं कुछ धुआँ नहीं उठता
क्या ख़बर कौन जलता है मुझमें
मेरा भी जी बहलता है उसी से
अब भला क्या अनोखा है मुझमें
मुझको इक लम्हा भी क़रार नहीं
जाने अब कौन टूटा है मुझमें
ढूँढता हूँ तेरा वजूद मगर
अपना ही आप बिखरा है मुझमें
आग का एक दरिया है वो और
आग का दरिया बहता है मुझमें
मेरी साँसों ज़रा पता तो करो
मुझी से कौन लड़ता है मुझमें
बुझ नहीं सकता एक जाम से मैं
प्यास का जलता सहरा है मुझमें
मैं किसी दुनिया में नहीं हूँ मगर
सच ये है सारी दुनिया है मुझमें
इस भरी बज़्म में भी चैन नहीं
कोई तो है जो तन्हा है मुझमें
As you were reading Shayari by MIR SHAHRYAAR
our suggestion based on MIR SHAHRYAAR
As you were reading undefined Shayari