dil-b-dil ik malaal tha lab-b-lab ik sawaal tha | दिल-ब-दिल इक मलाल था लब-ब-लब इक सवाल था

  - MIR SHAHRYAAR

dil-b-dil ik malaal tha lab-b-lab ik sawaal tha
yaar hamaare darmiyaan rishta hi bemisaal tha

socho to jis kharaabe mein jeena bhi kuchh muhaal tha
mujhko tira khayaal tha tujhko mera khayaal tha

guzre dinon ka kya kahein kya ajab ik zamaana tha
log bhi ba-kamaal the ishq bhi ba-kamaal tha

kya kahoon tere ishq mein kaisa junoon taari tha
teri judaai bhi sanam mujhko tira visaal tha

kaise qadam uthaate ham koocha-e-yaar kii taraf
paanv bhi kuchh nidhaal the hausla bhi nidhaal tha

dard ke is kharaabe mein ajnabi qaidkhaane mein
marna koii hunar nahin jeena magar kamaal tha

दिल-ब-दिल इक मलाल था लब-ब-लब इक सवाल था
यार हमारे दरमियाँ रिश्ता ही बेमिसाल था

सोचो तो जिस ख़राबे में जीना भी कुछ मुहाल था
मुझको तिरा ख़याल था तुझको मिरा ख़याल था

गुज़रे दिनों का क्या कहें क्या अजब इक ज़माना था
लोग भी बा-कमाल थे इश्क़ भी बा-कमाल था

क्या कहूँ तेरे इश्क़ में कैसा जुनून तारी था
तेरी जुदाई भी सनम मुझको तिरा विसाल था

कैसे क़दम उठाते हम कूचा-ए-यार की तरफ़
पाँव भी कुछ निढाल थे हौसला भी निढाल था

दर्द के इस ख़राबे में अजनबी क़ैदख़ाने में
मरना कोई हुनर नहीं जीना मगर कमाल था

  - MIR SHAHRYAAR

More by MIR SHAHRYAAR

As you were reading Shayari by MIR SHAHRYAAR

Similar Writers

our suggestion based on MIR SHAHRYAAR

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari