jaane kahaan se aati hai bechaini subah subah | जाने कहाँ से आती है बेचैनी सुबह सुबह

  - MIR SHAHRYAAR

jaane kahaan se aati hai bechaini subah subah
begaane dard karte hain sargoshi subah subah

shab to guzaari thi kisi ummeed par magar
phaili wahi udaasi kii taarikee subah subah

ye ham hi hain ki dard ko ik fan bana diya
kis se ye dekhi jaati thi badhaali subah subah

guzri thi shab bhi haan isi barbaadi mein magar
chheda hai dil ne nagma-e-barbaadi subah subah

ab hamko bhi ye vahshat-e-jaan raas aa gai
pahle-pahl to hoti thi hairaani subah subah

main jiske saath tha shab-e-vahshat mein gum kahin
main kya karoon ki yaad wahi aayi subah subah

जाने कहाँ से आती है बेचैनी सुबह सुबह
बेगाने दर्द करते हैं सरगोशी सुबह सुबह

शब तो गुज़ारी थी किसी उम्मीद पर मगर
फैली वही उदासी की तारीकी सुबह सुबह

ये हम ही हैं कि दर्द को इक फ़न बना दिया
किससे ये देखी जाती थी बदहाली सुबह सुबह

गुज़री थी शब भी हाँ इसी बर्बादी में मगर
छेड़ा है दिल ने नगमा-ए-बर्बादी सुबह सुबह

अब हमको भी ये वहशत-ए-जाँ रास आ गई
पहले-पहल तो होती थी हैरानी सुबह सुबह

मैं जिसके साथ था शब-ए-वहशत में गुम कहीं
मैं क्या करूँ कि याद वही आई सुबह सुबह

  - MIR SHAHRYAAR

More by MIR SHAHRYAAR

As you were reading Shayari by MIR SHAHRYAAR

Similar Writers

our suggestion based on MIR SHAHRYAAR

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari