mujh sa ik shakhs hoo-b-hoo mujhmein | मुझ सा इक शख़्स हू-ब-हू मुझमें

  - MIR SHAHRYAAR

mujh sa ik shakhs hoo-b-hoo mujhmein
karta hai meri justajoo mujhmein

khud se bhi door main chala aaya
ab nahin koii aarzoo mujhmein

raushni ka nishaan bhi baaki nahin
phaili hai raat koo-b-koo mujhmein

koii bhi to nahin mere andar
karta hai kaun guftagoo mujhmein

mujhmein mera main bhi nahin baaki
is qadar aa basaa hai tu mujhmein

padi hai aisi hijr kii sardi
jam gaya hai mera lahu mujhmein

tu agar koii aarzoo hi hai
teri kyun kar ho aarzoo mujhmein

jisne mere yaqeen ko maara hai
baitha hai kyun vo qibla-roo mujhmein

मुझ सा इक शख़्स हू-ब-हू मुझमें
करता है मेरी जुस्तजू मुझमें

ख़ुद से भी दूर मैं चला आया
अब नहीं कोई आरज़ू मुझमें

रौशनी का निशाँ भी बाक़ी नहीं
फैली है रात कू-ब-कू मुझमें

कोई भी तो नहीं मेरे अंदर
करता है कौन गुफ़्तगू मुझमें

मुझमें मेरा मैं भी नहीं बाक़ी
इस क़दर आ बसा है तू मुझमें

पड़ी है ऐसी हिज्र की सर्दी
जम गया है मिरा लहू मुझमें

तू अगर कोई आरज़ू ही है
तेरी क्यूँ कर हो आरज़ू मुझमें

जिसने मेरे यक़ीं को मारा है
बैठा है क्यूँ वो क़िबला-रू मुझमें

  - MIR SHAHRYAAR

More by MIR SHAHRYAAR

As you were reading Shayari by MIR SHAHRYAAR

Similar Writers

our suggestion based on MIR SHAHRYAAR

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari