ik musaafir kah raha hai yaa mera koi nahin | इक मुसाफ़िर कह रहा है याँ मिरा कोई नहीं

  - Shajar Abbas

ik musaafir kah raha hai yaa mera koi nahin
pur-khatr rasta hai lekin rehnuma koi nahin

ishq ki dahleez par mayyat padi hai qalb ki
dil ki gurbat pe yahan par gham-zda koi nahin

kar diya gul apne khaime ka diya shabbir ne
chhod ke khaima magar dekho gaya koi nahin

ye khushi hai aa gaya hoon main teri mehfil talak
par malaal iska hai mujhko dekhta koi nahin

haar kar himmat shajar ne zindagi se ye kaha
ab sivaae khudkushi ke raasta koi nahin

इक मुसाफ़िर कह रहा है याँ मिरा कोई नहीं
पुर-ख़तर रस्ता है लेकिन रहनुमा कोई नहीं

इश्क़ की दहलीज़ पर मय्यत पड़ी है क़ल्ब की
दिल की ग़ुर्बत पे यहाँ पर ग़म-ज़दा कोई नहीं

कर दिया गुल अपने ख़ैमे का दिया शब्बीर ने
छोड़ के ख़ैमा मगर देखो गया कोई नहीं

ये ख़ुशी है आ गया हूँ मैं तेरी महफ़िल तलक
पर मलाल इसका है मुझको देखता कोई नहीं

हार कर हिम्मत शजर ने ज़िन्दगी से ये कहा
अब सिवाए ख़ुदकुशी के रास्ता कोई नहीं

  - Shajar Abbas

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari