jidhar jidhar ko bhi kariye nazar udaasi hai
idhar udhar mere ghar mein shajar udaasi hai
hamein nikaal ke seene se dil dikhaana pada
sawaal usne jo poocha kidhar udaasi hai
mujhe malaal nahin apni is udaasi ka
agar udaasi ki peshaani par udaasi hai
kiya visaal ka jab zikr usne maine kaha
yahan pe khushiyon ki mat baat kar udaasi hai
udaas hoke kaha kya gila karoon aakhir
mera naseeb hi jab ye shajar udaasi hai
जिधर जिधर को भी करिए नज़र उदासी है
इधर उधर मेरे घर में शजर उदासी है
हमें निकाल के सीने से दिल दिखाना पड़ा
सवाल उसने जो पूछा किधर उदासी है
मुझे मलाल नहीं अपनी इस उदासी का
अगर उदासी की पेशानी पर उदासी है
किया विसाल का जब ज़िक्र उसने मैंने कहा
यहाँ पे ख़ुशियों की मत बात कर उदासी है
उदास होके कहा क्या गिला करूँ आख़िर
मिरा नसीब ही जब ये शजर उदासी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Nigaah Shayari Shayari