muhabbat ibadat ibadat muhabbat | मुहब्बत इबादत इबादत मुहब्बत

  - Shajar Abbas

muhabbat ibadat ibadat muhabbat
ibadat muhabbat muhabbat ibadat

ye virse mein rab ki raza se mile hain
kisi ko nubuwwat kisi ko imaamat

hamein aise lootaa azeezon ne dekho
ki jaise hain ham koi maal-e-ghaneemat

agar ho muhabbat mein naakaam aashiq
karo dasht mein phir hamaari si vehshat

hamein qatl kar ke hamein likh do qaateel
tumhaari hukoomat tumhaari adaalat

agar hai khuda ka zara khauf dil mein
to mazloom bekas ki kar tu himayat

tumhaare bina khud ke ham khud nahin hain
tumhaare bina aur jeene ki hasrat

agar tum idhar se udhar ho gaye to
khuda se karenge tumhaari shikaayat

muhabbat ke haami ho naara lagao
hai har aadmi ki zaroorat muhabbat

ye nafrat adavat ye ranjish ye keena
mita do dilon se hasad ye kudoorat

jo sapne in aankhon mein dekho ho shab bhar
khuda se dua hai hon sab vo haqeeqat

hamein bakhsh do ya hamein tum saza do
tumhaare hain mujrim tumhein hain ijaazat

muhabbat mein tumko shajar kya mila hai
aziyyat aziyyat aziyyat aziyyat

मुहब्बत इबादत इबादत मुहब्बत
इबादत मुहब्बत मुहब्बत इबादत

ये विरसे में रब की रज़ा से मिले हैं
किसी को नुबुव्वत किसी को इमामत

हमें ऐसे लूटा अज़ीजों ने देखो
कि जैसे हैं हम कोई माल-ए-ग़नीमत

अगर हो मुहब्बत में नाकाम आशिक़
करो दश्त में फिर हमारी सी वहशत

हमें क़त्ल कर के हमें लिख दो क़ातिल
तुम्हारी हुकूमत तुम्हारी अदालत

अगर है ख़ुदा का ज़रा ख़ौफ़ दिल में
तो मज़लूम बेकस की कर तू हिमायत

तुम्हारे बिना ख़ुद के हम ख़ुद नहीं हैं
तुम्हारे बिना और जीने की हसरत

अगर तुम इधर से उधर हो गए तो
ख़ुदा से करेंगे तुम्हारी शिकायत

मुहब्बत के हामी हो नारा लगाओ
है हर आदमी की ज़रूरत मुहब्बत

ये नफ़रत अदावत ये रंजिश ये कीना
मिटा दो दिलों से हसद ये कुदूरत

जो सपने इन आँखों में देखो हो शब भर
ख़ुदा से दुआ है हों सब वो हक़ीक़त

हमें बख़्श दो या हमें तुम सज़ा दो
तुम्हारे हैं मुजरिम तुम्हें हैं इजाज़त

मुहब्बत में तुमको शजर क्या मिला है
अज़िय्यत अज़िय्यत अज़िय्यत अज़िय्यत

  - Shajar Abbas

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari