main kya umr-e-abad mein hoon
ya maashooqa kii zad mein hoon
pata kuchh kyun nahin chalta
main kab se kis kii had mein hoon
yun tere paas hote bhi
meri jaan apni had mein hoon
mujhe baahar nikaalo ab
main barson se sanad mein hoon
mujhe bhi ghar badalna hai
ki tab se ik hi had mein hoon
tumhein kya chahiye aur jab
main hi tere jasd mein hoon
mere rab rehm kar mujh pe
bahut din se madad mein hoon
मैं क्या उम्र-ए-अबद में हूँ
या माशूक़ा की ज़द में हूँ
पता कुछ क्यों नहीं चलता
मैं कब से किस की हद में हूँ
यूँ तेरे पास होते भी
मिरी जाँ अपनी हद में हूँ
मुझे बाहर निकालो अब
मैं बरसों से सनद में हूँ
मुझे भी घर बदलना है
कि तब से इक ही हद में हूँ
तुम्हें क्या चाहिए और जब
मैं ही तेरे जसद में हूँ
मिरे रब रहम कर मुझ पे
बहुत दिन से मदद में हूँ
As you were reading Shayari by Shams Amiruddin
our suggestion based on Shams Amiruddin
As you were reading undefined Shayari