aansu main jab giraaya to ye kaam ho gaya
us be-wafa ka zikr sar-e-aam ho gaya
mujhko khabar hai sab ye muhabbat ki den hai
uski gali mein yaar mera naam ho gaya
ye kaun kah raha hai ki badnaam ho chuke
mashhoor kab main tha ki jo badnaam ho gaya
ab kuchh bacha nahin hai mere hisse mein yahan
chaahat mein khud ke haath se neelaam ho gaya
ladka har ek cheez mein ye kaamyaab hai
daanish to sirf ishq mein naakaam ho gaya
आँसू मैं जब गिराया तो ये काम हो गया
उस बे-वफ़ा का ज़िक्र सर-ए-आम हो गया
मुझको ख़बर है सब ये मुहब्बत की देन है
उसकी गली में यार मिरा नाम हो गया
ये कौन कह रहा है कि बदनाम हो चुके
मशहूर कब मैं था कि जो बदनाम हो गया
अब कुछ बचा नहीं है मिरे हिस्से में यहाँ
चाहत में ख़ुद के हाथ से नीलाम हो गया
लड़का हर एक चीज़ में ये कामयाब है
'दानिश' तो सिर्फ़ इश्क़ में नाकाम हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Aansoo Shayari Shayari