aashiqi kii zaroorat nahin hai
ab kisi kii zaroorat nahin hai
khud meri jaan ne kii be-wafaai
ajnabi kii zaroorat nahin hai
dil ko maine banaya hai patthar
dil-lagi kii zaroorat nahin hai
jo hai dil mein wahi hai zabaan par
mukhbirii kii zaroorat nahin hai
khush rahe be-wafa vo dagha-baaz
dushmani kii zaroorat nahin hai
zeest guzare faqat gham hi gham mein
yun khushi kii zaroorat nahin hai
maut se hai mera dostana
zindagi kii zaroorat nahin hai
ishq ke dard gaane kii khaatir
maykashi kii zaroorat nahin hai
mashwara de raha hai vo daanish
khud-kushi kii zaroorat nahin hai
आशिक़ी की ज़रूरत नहीं है
अब किसी की ज़रूरत नहीं है
ख़ुद मेरी जाँ ने की बे-वफ़ाई
अजनबी की ज़रूरत नहीं है
दिल को मैंने बनाया है पत्थर
दिल-लगी की ज़रूरत नहीं है
जो है दिल में वही है ज़बाँ पर
मुख़बिरी की ज़रूरत नहीं है
ख़ुश रहे बे-वफ़ा वो दग़ा-बाज़
दुश्मनी की ज़रूरत नहीं है
ज़ीस्त गुज़रे फ़क़त ग़म ही ग़म में
यूँ ख़ुशी की ज़रूरत नहीं है
मौत से है मेरा दोस्ताना
ज़िंदगी की ज़रूरत नहीं है
इश्क़ के दर्द गाने की ख़ातिर
मयकशी की ज़रूरत नहीं है
मशवरा दे रहा है वो 'दानिश'
ख़ुद-कुशी की ज़रूरत नहीं है
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading undefined Shayari