apne liye ham bhi guzar jaate kabhi
teri saza se bhi mukar jaate kabhi
jaan saath tune bhi diya hota agar
ham ishq mein tere bikhar jaate kabhi
saahil pe tujhko bhi yun laane ke liye
ham hi samandar mein utar jaate kabhi
ham pherte in haathon se ai jaan bahut
gesu bhi tere yun nikhar jaate kabhi
usko zamaane se bachaane ke liye
lad kar ai daanish khud bhi mar jaate kabhi
अपने लिए हम भी गुज़र जाते कभी
तेरी सज़ा से भी मुकर जाते कभी
जाँ साथ तूने भी दिया होता अगर
हम इश्क़ में तेरे बिखर जाते कभी
साहिल पे तुझको भी यूँ लाने के लिए
हम ही समंदर में उतर जाते कभी
हम फेरते इन हाथों से ऐ जाँ बहुत
गेसू भी तेरे यूँ निखर जाते कभी
उसको ज़माने से बचाने के लिए
लड़ कर ऐ ''दानिश'' ख़ुद भी मर जाते कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Environment Shayari Shayari