apne seene ki tujhe aag dikhaaun kaise
apne saare gham-e-dil tujhko bataaun kaise
meri har raat tujhe dekh ke kat jaati hai
teri tasveer ko hujre se hataaun kaise
ek pal tujhko na dekhoon to tadap jaata hoon
apne is pyaar ka ehsaas dilaaun kaise
tere har khat mein mujhe pyaar jhalakta hai so
tere paighaam-e-mohabbat ko jalaaun kaise
ye jo shayar hai usi be-wafa ka aashiq hai
yaar daanish tujhe main zahar pilaauñ kaise
अपने सीने की तुझे आग दिखाऊँ कैसे
अपने सारे ग़म-ए-दिल तुझको बताऊँ कैसे
मेरी हर रात तुझे देख के कट जाती है
तेरी तस्वीर को हुजरे से हटाऊँ कैसे
एक पल तुझको न देखूँ तो तड़प जाता हूँ
अपने इस प्यार का एहसास दिलाऊँ कैसे
तेरे हर ख़त में मुझे प्यार झलकता है सो
तेरे पैग़ाम-ए-मुहब्बत को जलाऊँ कैसे
ये जो शायर है उसी बे-वफ़ा का आशिक़ है
यार 'दानिश' तुझे मैं ज़हर पिलाऊँ कैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Aag Shayari Shayari