bahut badi maine ki hai ghalti kisi pe yun ikhtiyaar karke | बहुत बड़ी मैंने की है ग़लती किसी पे यूँ इख़्तियार करके

  - Shayar Danish

bahut badi maine ki hai ghalti kisi pe yun ikhtiyaar karke
nichod kar rakh diya hai dil ko kisi ne is dil pe vaar karke

tha khoobsurat mera chaman par na ab bachi hai koi bhi rangat
hai ab nadaamat chaman ko mere yun apne phoolon ko khaar karke

kisi ne dil ko dukha ke murshad na laut kar ke dobaara aaya
bahut hi mayus ho chuka hoon kisi ka main intizaar karke

meri in aankhon mein aansu de kar na saamne aate hain kabhi bhi
kisi ne moda hai apna chehra yahan pe yun aankhen-chaar karke

lagi hai dil par jo bewafaai ki zindagi sab ujad gai hai
ganwaaya hai maine khud ko daanish kisi se shiddat se pyaar karke

बहुत बड़ी मैंने की है ग़लती किसी पे यूँ इख़्तियार करके
निचोड़ कर रख दिया है दिल को किसी ने इस दिल पे वार करके

था ख़ूबसूरत मेरा चमन पर न अब बची है कोई भी रंगत
है अब नदामत चमन को मेरे यूँ अपने फूलों को ख़ार करके

किसी ने दिल को दुखा के मुर्शद न लौट कर के दुबारा आया
बहुत ही मायूस हो चुका हूँ किसी का मैं इंतिज़ार करके

मेरी इन आँखों में आँसू दे कर न सामने आते हैं कभी भी
किसी ने मोड़ा है अपना चेहरा यहाँ पे यूँ आँखें-चार करके

लगी है दिल पर जो बेवफ़ाई कि ज़िंदगी सब उजड़ गई है
गँवाया है मैंने ख़ुद को 'दानिश' किसी से शिद्दत से प्यार करके

  - Shayar Danish

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari