be-wafai se badh kar saza kuchh nahin | बे-वफ़ाई से बढ़ कर सज़ा कुछ नहीं

  - Shayar Danish

be-wafai se badh kar saza kuchh nahin
kaun kehta hai mera luta kuchh nahin

zindagi ke liye hamsafar chahiye
iske chakkar mein mujhko mila kuchh nahin

vaar karta hai patthar se dil par mere
phir vo kehta hai tujhko hua kuchh nahin

log aaye mujhe dhokha de kar gaye
meri aankhon se bilkul dikha kuchh nahin

ishq mein dard daanish ko aisa mila
sirf rota hai par bolta kuchh nahin

बे-वफ़ाई से बढ़ कर सज़ा कुछ नहीं
कौन कहता है मेरा लुटा कुछ नहीं

ज़िंदगी के लिए हमसफ़र चाहिए
इसके चक्कर में मुझको मिला कुछ नहीं

वार करता है पत्थर से दिल पर मेरे
फिर वो कहता है तुझको हुआ कुछ नहीं

लोग आए मुझे धोखा दे कर गए
मेरी आँखों से बिल्कुल दिखा कुछ नहीं

इश्क़ में दर्द 'दानिश' को ऐसा मिला
सिर्फ़ रोता है पर बोलता कुछ नहीं

  - Shayar Danish

Qaid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Qaid Shayari Shayari