be-wafaon ki ulfat jald se nahin milti | बे-वफ़ाओं की उल्फ़त जल्द से नहीं मिलती

  - Shayar Danish

be-wafaon ki ulfat jald se nahin milti
ab yahan koi shohrat jald se nahin milti

yaar kuchh nahin hota sirf dil lagaane se
sach hai ishq mein farhat jald se nahin milti

hai ye meri majboori rehta hoon sada masroof
tujhse milne ki furqat jald se nahin milti

bin kamaaye dhan daulat aaj yaar mardon ko
is zamaane mein izzat jald se nahin milti

bach haraam kaamon se dar khuda se daanish tu
varna rab ki yun rahmat jald se nahin milti

बे-वफ़ाओं की उल्फ़त जल्द से नहीं मिलती
अब यहाँ कोई शोहरत जल्द से नहीं मिलती

यार कुछ नहीं होता सिर्फ़ दिल लगाने से
सच है इश्क़ में फ़रहत जल्द से नहीं मिलती

है ये मेरी मजबूरी रहता हूँ सदा मसरूफ़
तुझसे मिलने की फ़ुर्सत जल्द से नहीं मिलती

बिन कमाए धन दौलत आज यार मर्दों को
इस ज़माने में इज़्ज़त जल्द से नहीं मिलती

बच हराम कामों से डर ख़ुदा से 'दानिश' तू
वरना रब की यूँ रहमत जल्द से नहीं मिलती

  - Shayar Danish

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari