dard jo na samjhe vo devta nahin hota
saath jo nibhaata hai be-wafa nahin hota
maut se bhi bach jaaye ye kabhi nahin mumkin
raah-e-ishq mein aisa haadsa nahin hota
uske ashk girne par kya se kya ho jaata hai
mere ashk par koi maamlaa nahin hota
zulm zyaadati ka hai har taraf tarafdaari
be-gunaahon ke haq mein faisla nahin hota
karta hai himayat jo be-wafaon ki daanish
waisa shakhs se mera saamna nahin hota
दर्द जो न समझे वो देवता नहीं होता
साथ जो निभाता है बे-वफ़ा नहीं होता
मौत से भी बच जाए ये कभी नहीं मुमकिन
राह-ए-इश्क़ में ऐसा हादसा नहीं होता
उसके अश्क गिरने पर क्या से क्या हो जाता है
मेरे अश्क पर कोई मामला नहीं होता
ज़ुल्म ज़्यादती का है हर तरफ़ तरफ़दारी
बे-गुनाहों के हक़ में फ़ैसला नहीं होता
करता है हिमायत जो बे-वफ़ाओं की 'दानिश'
वैसा शख़्स से मेरा सामना नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Inquilab Shayari Shayari