dikhaata hai jo apni vo soorat kabhi kabhi
badhti hai mere chehre ki rangat kabhi kabhi
kitna main khushnaseeb hoon tum jaante nahin
milti hai be-wafa ki muhabbat kabhi kabhi
meri ye khwaahishein hain raqeebon ko bakhsh doon
karta hoon phir bhi unse bagaavat kabhi kabhi
kahte hain jo mujhe ki kisi kaam ka nahin
padti hai meri unko zaroorat kabhi kabhi
daanish ajeeb hai ye muhabbat ka marhala
hoti hai mere dil ko nadaamat kabhi kabhi
दिखलाता है जो अपनी वो सूरत कभी कभी
बढ़ती है मेरे चेहरे की रंगत कभी कभी
कितना मैं ख़ुशनसीब हूँ तुम जानते नहीं
मिलती है बे-वफ़ा की मुहब्बत कभी कभी
मेरी ये ख़्वाहिशें हैं रक़ीबों को बख़्श दूँ
करता हूँ फिर भी उनसे बग़ावत कभी कभी
कहते हैं जो मुझे कि किसी काम का नहीं
पड़ती है मेरी उनको ज़रूरत कभी कभी
'दानिश' अजीब है ये मुहब्बत का मरहला
होती है मेरे दिल को नदामत कभी कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Dil Shayari Shayari