dil lagaaya tha maine khushi ke liye | दिल लगाया था मैंने ख़ुशी के लिए

  - Shayar Danish

dil lagaaya tha maine khushi ke liye
kya se kya kar gaya zindagi ke liye

pyaar mein ho chuki itni dhokhadhari
kaun marta hai ab ajnabi ke liye

tha main naadaan tum pe bharosa kiya
dil dukhaaya bahut dil-lagi ke liye

laut aaoge gar phir se tum ishq mein
qalb zinda nahin aashiqi ke liye

khoj lo koi daanish naya hamsafar
tum ziyaada na socho kisi ke liye

दिल लगाया था मैंने ख़ुशी के लिए
क्या से क्या कर गया ज़िंदगी के लिए

प्यार में हो चुकी इतनी धोखाधड़ी
कौन मरता है अब अजनबी के लिए

था मैं नादान तुम पे भरोसा किया
दिल दुखाया बहुत दिल-लगी के लिए

लौट आओगे गर फिर से तुम इश्क़ में
क़ल्ब ज़िंदा नहीं आशिक़ी के लिए

खोज लो कोई 'दानिश' नया हमसफ़र
तुम ज़ियादा न सोचो किसी के लिए

  - Shayar Danish

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari