ham muhabbat sharaafat dikhaate rahe
aur tum hamko hi kyun bhulaate rahe
hamne socha tha ham phool denge tumhein
tum to raahon mein kaante bichaate rahe
jaan tum mein thi laakhon ye kamiyaan magar
tohmaten sirf ham pe lagaate rahe
kar rahe the muhabbat raqeebon se tum
baat kyun tum ye ham se chhupaate rahe
ye muhabbat bhi daanish na karna kabhi
ashk aankhon se ham bhi behaate rahe
हम मुहब्बत शराफ़त दिखाते रहे
और तुम हमको ही क्यों भुलाते रहे
हमने सोचा था हम फूल देंगे तुम्हें
तुम तो राहों में काँटे बिछाते रहे
जान तुम में थी लाखों ये कमियाँ मगर
तोहमतें सिर्फ़ हम पे लगाते रहे
कर रहे थे मुहब्बत रक़ीबों से तुम
बात क्यों तुम ये हम से छुपाते रहे
ये मुहब्बत भी दानिश न करना कभी
अश्क आँखों से हम भी बहाते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Phool Shayari Shayari