ham to fikr teri jaan baar baar karte hain
tu na ye samajhna ghairoon se pyaar karte hain
jab bhi tu nikalta hai apne ghar se jaane man
raaste mein ham tera intizaar karte hain
is jahaan mein hain yun hi ladkiyaan bahut lekin
ham to sirf tujh pe hi etbaar karte hain
ham na apne chaacha se ham na apni chaachi se
tera zikr ammi se beshumaar karte hain
ulfaton ke tohfe bhi khoob milte hain daanish
ham to aise tohfe ko sogwaar karte hain
हम तो फ़िक्र तेरी जाँ बार बार करते हैं
तू न ये समझना ग़ैरों से प्यार करते हैं
जब भी तू निकलता है अपने घर से जाने मन
रास्ते में हम तेरा इंतिज़ार करते हैं
इस जहाँ में हैं यूँ ही लड़कियाँ बहुत लेकिन
हम तो सिर्फ़ तुझ पे ही एतबार करते हैं
हम न अपने चाचा से हम न अपनी चाची से
तेरा ज़िक्र अम्मी से बेशुमार करते हैं
उलफ़तों के तोहफ़े भी ख़ूब मिलते हैं 'दानिश'
हम तो ऐसे तोहफ़े को सोगवार करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Raasta Shayari Shayari