is ujaale mein andhera nahin hone doonga
jaan tujhko main paraaya nahin hone doonga
ye zamaana mera nuksaan bahut karta hai
main bhi to iska munaafa nahin hone doonga
mar chuka hoon main sanam tere khayaalon mein yahan
khud ko shaayad kabhi zinda nahin hone doonga
har qadam par main tera saath nibhaaunga sada
mushkilon mein tujhe tanhaa nahin hone doonga
kyun ye kehta hai ki mujhse tu bichhad ja daanish
jaisa kehta hai tu waisa nahin hone doonga
इस उजाले में अँधेरा नहीं होने दूँगा
जान तुझको मैं पराया नहीं होने दूँगा
ये ज़माना मेरा नुक़सान बहुत करता है
मैं भी तो इसका मुनाफ़ा नहीं होने दूँगा
मर चुका हूँ मैं सनम तेरे ख़यालों में यहाँ
ख़ुद को शायद कभी ज़िंदा नहीं होने दूँगा
हर क़दम पर मैं तेरा साथ निभाऊँगा सदा
मुश्किलों में तुझे तन्हा नहीं होने दूँगा
क्यों ये कहता है कि मुझसे तू बिछड़ जा 'दानिश'
जैसा कहता है तू वैसा नहीं होने दूँगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Subah Shayari Shayari