ishq mein yaaron hardam rona padta hai
ashkon se daaman ko bhigona padta hai
chhod ke jaate hain apne hi log yahan
majboori mein tanhaa hona padta hai
hijr ke gham jab bhi tumko yaad aayenge
raaton mein phir der se sona padta hai
rooth gaya hai mera dil sahte sahte
ghazlon mein ab dard pirona padta hai
daanish ishq bhi karna ik mushkil fan hai
dil ka zakham namak se dhona padta hai
इश्क़ में यारों हरदम रोना पड़ता है
अश्कों से दामन को भिगोना पड़ता है
छोड़ के जाते हैं अपने ही लोग यहाँ
मजबूरी में तन्हा होना पड़ता है
हिज्र के ग़म जब भी तुमको याद आएँगे
रातों में फिर देर से सोना पड़ता है
रूठ गया है मेरा दिल सहते सहते
ग़ज़लों में अब दर्द पिरोना पड़ता है
'दानिश' इश्क़ भी करना इक मुश्किल फ़न है
दिल का ज़ख़्म नमक से धोना पड़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Sad Shayari Shayari