jaan nichhawar hai sanam teri hifaazat ke liye
main hoon taiyaar raqeebon se bagaavat ke liye
hai qasam tujh pe zara aanch na aane doonga
mere andar hai lahu unse adavat ke liye
zikr aur fikr karunga main musalsal tera
tujhko mauqa na milega yun shikaayat ke liye
kar le iqraar zara tu meri in baaton par
bhool jaaunga ye duniya teri chaahat ke liye
muddaton jism mein veeraan pada tha daanish
maine phir dil ko sajaaya hai muhabbat ke liye
जाँ निछावर है सनम तेरी हिफ़ाज़त के लिए
मैं हूँ तैयार रक़ीबों से बग़ावत के लिए
है क़सम तुझ पे ज़रा आँच न आने दूँगा
मेरे अंदर है लहू उनसे अदावत के लिए
ज़िक्र और फ़िक्र करूँगा मैं मुसलसल तेरा
तुझको मौक़ा न मिलेगा यूँ शिकायत के लिए
कर ले इक़रार ज़रा तू मेरी इन बातों पर
भूल जाऊँगा ये दुनिया तेरी चाहत के लिए
मुद्दतों जिस्म में वीरान पड़ा था 'दानिश'
मैंने फिर दिल को सजाया है मुहब्बत के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Dil Shayari Shayari