jin par mujhe din raat ulfat chaahaton par aas hai
unko nahin lagta ki ye ik shakhs bhi kuchh khaas hai
vo mujhko apne aap se itna juda kyun rakhte hain
shaayad nahin maaloom unki yaadein mere paas hai
vo bhool jaaye mujhko lekin main to bilkul bhi nahin
sab jaante hain meri ulfat mein yahi ikhlaas hai
main to bahut shiddat se unko dil se chaaha tha magar
dil tod kar kahte hain vo mujhse ye sab bakwaas hai
vo thukra kar ulfat ko meri yun magan mein hain bahut
daanish mujhe to aaj bhi is dard ka ahsaas hai
जिन पर मुझे दिन रात उलफ़त चाहतों पर आस है
उनको नहीं लगता कि ये इक शख़्स भी कुछ ख़ास है
वो मुझको अपने आप से इतना जुदा क्यों रखते हैं
शायद नहीं मालूम उनकी यादें मेरे पास है
वो भूल जाए मुझको लेकिन मैं तो बिल्कुल भी नहीं
सब जानते हैं मेरी उलफ़त में यही इख़्लास है
मैं तो बहुत शिद्दत से उनको दिल से चाहा था मगर
दिल तोड़ कर कहते हैं वो मुझसे ये सब बकवास है
वो ठुकरा कर उलफ़त को मेरी यूँ मगन में हैं बहुत
''दानिश'' मुझे तो आज भी इस दर्द का अहसास है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Valentine Shayari Shayari