jis din se raqeebon se dil apna lagaaya hai | जिस दिन से रक़ीबों से दिल अपना लगाया है

  - Shayar Danish

jis din se raqeebon se dil apna lagaaya hai
vo shakhs nahin mera vo shakhs paraaya hai

nafrat ki kashish dekho ai yaar zara usmein
ulfat ke charaagon ko haathon se bujhaaya hai

dhadkan ki sada sun kar duniya ke tabeebon ne
ik-tarfa muhabbat se parhez bataaya hai

kuchh to na kiya mere hisse mein bhala usne
lekin yun faqat mujh par ehsaan jataaya hai

sab log ghazal meri sun kar ke yahin bolein
daanish ye jigar ka gham kya khoob sunaaya hai

जिस दिन से रक़ीबों से दिल अपना लगाया है
वो शख़्स नहीं मेरा वो शख़्स पराया है

नफ़रत की कशिश देखो ऐ यार ज़रा उसमें
उलफ़त के चराग़ों को हाथों से बुझाया है

धड़कन की सदा सुन कर दुनिया के तबीबों ने
इक-तरफ़ा मुहब्बत से परहेज़ बताया है

कुछ तो न किया मेरे हिस्से में भला उसने
लेकिन यूँ फ़क़त मुझ पर एहसान जताया है

सब लोग ग़ज़ल मेरी सुन कर के यहीं बोलें
'दानिश' ये जिगर का ग़म क्या ख़ूब सुनाया है

  - Shayar Danish

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari