khushi ka ab yahan mausam nahin hai
muhabbat mein museebat kam nahin hai
siyaasi jhandoon mein masroof hain log
khuda ke naam ka parcham nahin hai
sabhi hain log dhokebaaz murshad
yahan apna koi hamdam nahin hai
mere chehre pe rahti hai udaasi
na samjho paas mere gham nahin hai
bahut hain zakham mere dil mein daanish
lagaane ke liye marham nahin hai
ख़ुशी का अब यहाँ मौसम नहीं है
मुहब्बत में मुसीबत कम नहीं है
सियासी झण्डों में मसरूफ़ हैं लोग
ख़ुदा के नाम का परचम नहीं है
सभी हैं लोग धोखेबाज़ मुर्शद
यहाँ अपना कोई हमदम नहीं है
मिरे चेहरे पे रहती है उदासी
न समझो पास मेरे ग़म नहीं है
बहुत हैं ज़ख़्म मेरे दिल में 'दानिश'
लगाने के लिए मरहम नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Rahbar Shayari Shayari