khushiyon ki aas mein meri raahat chali gai
kuchh is tarah se jism se taqat chali gai
jab ishq mein usi ne mujhe alvida kaha
chehre ki meri saari wazaahat chali gai
uske bichhadne pe mujhe ehsaas ye hua
bachpan ki yaar meri viraasat chali gai
vo be-panaah pyaar ki izzat na kar saka
phir rafta rafta dil se muhabbat chali gai
koi na harj hai mujhe ye baat kehne mein
daanish yun shehar se teri izzat chali gai
ख़ुशियों की आस में मेरी राहत चली गई
कुछ इस तरह से जिस्म से ताक़त चली गई
जब इश्क़ में उसी ने मुझे अलविदा कहा
चेहरे की मेरी सारी वज़ाहत चली गई
उसके बिछड़ने पे मुझे एहसास ये हुआ
बचपन की यार मेरी विरासत चली गई
वो बे-पनाह प्यार की इज़्ज़त न कर सका
फिर रफ़्ता रफ़्ता दिल से मुहब्बत चली गई
कोई न हर्ज है मुझे ये बात कहने में
'दानिश' यूँ शहर से तेरी इज़्ज़त चली गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Friendship Shayari Shayari