khushiyon ke koi pal na muhabbat ke khwaab de
chaahat mein har wafa ki tu mujhko hisaab de
vo kaun si kami thi muhabbat mein meri jaan
tere liye sawaal hai iska jawaab de
phir uski yaad aayi hai saaqi ye kaam kar
shayar hoon main fakeer sa sasta sharaab de
vo khush hai mujhko chhod ke is raah-e-ishq mein
us be-wafa ko mere khuda tu azaab de
usko bahut hai naaz raqeebon ke ishq par
daanish vo fenk dega use mat gulaab de
ख़ुशियों के कोई पल न मुहब्बत के ख़्वाब दे
चाहत में हर वफ़ा की तू मुझको हिसाब दे
वो कौन सी कमी थी मुहब्बत में मेरी जान
तेरे लिए सवाल है इसका जवाब दे
फिर उसकी याद आई है साक़ी ये काम कर
शायर हूँ मैं फ़कीर सा सस्ता शराब दे
वो ख़ुश है मुझको छोड़ के इस राह-ए-इश्क़ में
उस बे-वफ़ा को मेरे ख़ुदा तू अज़ाब दे
उसको बहुत है नाज़ रक़ीबों के इश्क़ पर
'दानिश' वो फेंक देगा उसे मत गुलाब दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Valentine Shayari Shayari