luti hai jo jaageer dekhi hai daanish
teri footi taqdeer dekhi hai daanish
milega na usko tere jaisa aashiq
jo tujh mein yun taaseer dekhi hai daanish
raqeebon ke hujre mein khidki se maine
teri jaan kii tasveer dekhi hai daanish
muhabbat se dar mujhko lagne laga hai
ghamon kii jo ta'aamir dekhi hai daanish
piroota hai zakhamon ko apni ghazal mein
qalam aur tahreer dekhi hai daanish
लुटी है जो जागीर देखी है दानिश
तेरी फूटी तक़दीर देखी है दानिश
मिलेगा न उसको तेरे जैसा आशिक़
जो तुझ में यूँ तासीर देखी है दानिश
रक़ीबों के हुजरे में खिड़की से मैंने
तेरी जाँ की तस्वीर देखी है दानिश
मुहब्बत से डर मुझको लगने लगा है
ग़मों की जो ता'मीर देखी है दानिश
पिरोता है ज़ख़्मों को अपनी ग़ज़ल में
क़लम और तहरीर देखी है 'दानिश'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Qismat Shayari Shayari